Friday, February 6, 2009

poem started around year bfre...jst cmpleted

Itni dur dekhna nikal jaunga mai
Vapis in raho par laut kar na aaunga main…

Jinda rahunga kab tak pata nahi
Han yeh hun janta bahut jaldi hi mar jaunga main…

Chod nahi sakta main to tujhe kabhi bhi
Yeh to dur ki baat ke tujhe bhulaunga main…

Nibha nahi sakta mei..jo keh gaye mujhe..
Kisiko apna banake kabhi dikhaunga main…

Unki kasam thi ke peena mat kabhi bhi…
Kya karu agar sofi raha to pagal ho jaunga main…

Jo khuda se bhi upar tha wo na raha hamara…
Ab daru kis baat se aur kya gawaunga main…


Tera to pata nahi do din yad kar bhul jayegi..
Dafan hone tak to jarur tujhe chahunga main…

Itni dur dekhna nikal jaunga main….
Vapis in raho par laut kar na aaunga main…


Jinda rahunga kab tak pata nahi..
Han yeh janta hun jaldi hi mar jaunga main

Geet likhunga 'bechara' banke aur kya;;
tu badnaam na ho is dar se kabhi na gaaunga main...

No comments: