Wednesday, February 11, 2009
hum dost jarur the....
jab aaye the anjaan se the
ab lagta hai aj bhi mere jaise wahi hai
na to gila kiya koi usne mere se
na shikayat si koi baat mujhse usne kahi hai
mar mit to chala hun mei doston ki khwaish mei
pata nahi fir bhi kami yeh kahan rahi hai
achha tha bahut had tak hum dono mei sab kuch
pata nahi kis karan yeh ganga ulti bahi hai
yeh mitti ki deri thi dono taraf se aasra tha
tune ek taraf se hata diya isliye yeh dahi hai
eh khuda ab tu hi bata de is "bechare" ko
in matlabi insano ki duniya mei
kya galat kya sahi hai.....
kyon milaun nazar mei tujhse bata mujhe
hum dost jarur the par aaj nahi hai.........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment